suna hai ki un se mulaqat hogi
agar ho gai to baDi baat hogi
nigahon se sharh-e-hikayat hogi
zaban chup rahegi magar baat hogi
mere ashk jis shab ke daman mein honge
yaqinan wo taron bhari raat hogi
samajhti hai sham o sahar jis ko duniya
tere zulf o aariz ki KHairaat hogi
na sawan hi barsa na bhadon hi barsa
bahut shor sunte the barsat hogi
mohabbat bahut be-maza hogi jis din
zaban be-niyaz-e-shikayat hogi
wahan qalb ki raushni sath degi
jahan din na hoga faqat raat hogi
'nazir' aao ro len gale mil ke hum tum
KHuda jaane phir kab mulaqat hogi
Ghazal
Suna hai ki un se mulaqat hogi
Nazeer Banarasi