sun to sahi jahan mein hai tera fasana kya
kahti hai tujh ko KHalq-e-KHuda ghaebana kya
kya kya ulajhta hai teri zulfon ke tar se
baKHiya-talab hai sina-e-sad-chaak shana kya
zer-e-zamin se aata hai jo gul so zar-ba-kaf
qarun ne raste mein luTaya KHazana kya
uDta hai shauq-e-rahat-e-manzil se asp-e-umr
mahmez kahte hainge kise taziyana kya
zina saba ka DhunDti hai apni musht-e-KHak
baam-e-buland yar ka hai aastana kya
chaaron taraf se surat-e-jaanan ho jalwa-gar
dil saf ho tera to hai aaina-KHana kya
sayyaad asir-e-dam-e-rag-e-gul hai andalib
dikhla raha hai chhup ke use dam-o-dana kya
tabl-o-alam hi pas hai apne na mulk o mal
hum se KHilaf ho ke karega zamana kya
aati hai kis tarah se mere qabz-e-ruh ko
dekhun to maut DhunD rahi hai bahana kya
hota hai zard sun ke jo namard muddai
rustam ki dastan hai hamara fasana kya
tirchhi nigah se tair-e-dil ho chuka shikar
jab tir kaj paDe to uDega nishana kya
sayyaad-e-gul-ezar dikhata hai sair-e-bagh
bulbul qafas mein yaad kare aashiyana kya
betab hai kamal hamara dil-e-hazin
mehman sara-e-jism ka hoga rawana kya
yun muddai hasad se na de dad to na de
'atish' ghazal ye tu ne kahi aashiqana kya
Ghazal
Sun to sahi jahan mein hai tera fasana kya
Haidar Ali Aatish