sun fasl-e-gul KHushi ho gulshan mein aaiyan hain
kya bulbulon ne dekho dhumen machaiyan hain
bimar ho zamin se uThte nahin asa bin
nargis ko tum ne shayad aankhen dikhaiyan hain
dekh us ko aaina bhi hairan ho gaya hai
chehre pe jaan tere aisi safaiyan hain
KHurshid us ko kahiye to jaan hai wo pila
gar mah kahun tera munh to us pe jhaiyan hain
yun garm yar hona phir baat bhi na kahna
kya be-murawwati hai kya bewafaiyan hain
jhamki dikha jhijhak kar dil le ke bhag jaana
kya achpalaiyan hain kya chanchalaiyan hain
qismat mein kya hai dekhen jite bachen ki mar jaen
qatil se ab to hum ne aankhen laDaiyan hain
dil aashiqon ka le kar phir yar nahin ye dilbar
in be-murawwaton ki kya aashnaiyan hain
phir mehrban hua hai 'taban' mera sitamgar
baaten teri kisi ne shayad sunaiyan hain
Ghazal
Sun fasl-e-gul KHushi ho gulshan mein aaiyan hain
Taban Abdul Hai