sulh ke baad mohabbat nahin kar sakta main
muKHtasar ye ki wazahat nahin kar sakta main
dil tere hijr mein sarshaar hua phirta hai
ab kisi dasht mein wahshat nahin kar sakta main
mere chehre pe hain aankhen mere sine mein hai dil
is liye teri hifazat nahin kar sakta main
har taraf tu nazar aata hai jidhar jata hun
tere imkan se hijrat nahin kar sakta main
itna tarsaya gaya mujh ko mohabbat se ki ab
ek mohabbat pe qanaat nahin kar sakta main
apna iman bhi tujhe saunp diya hai 'anjum'
is se baDh kar to saKHawat nahin kar sakta main
Ghazal
Sulh ke baad mohabbat nahin kar sakta main
Anjum Saleemi