اردو हिंदी
Sulagti ret pe tahrir jo kahani hai | Shaahi Shayari
sulagti ret pe tahrir jo kahani hai

Ghazal

Sulagti ret pe tahrir jo kahani hai

Afzal Allahabadi

;

sulagti ret pe tahrir jo kahani hai
mere junun ki ek anmol wo nishani hai

main apne aap ko tanha samajh raha tha magar
suna hai tum ne bhi sahra ki KHak chhani hai

ghamon ki dhup mein rahna hai saeban ki tarah
KHayal-e-gesu-e-jaanan ki mehrbani hai

kabhi udhar se jo guzrega karwan apna
to hum bhi dekhenge dariya mein kitna pani hai

main ab bhi shan se zinda hun shahr-e-qatil mein
mere KHuda ki yaqinan ye mehrbani hai

bura na mano to main saf saf ye kah dun
tumhaare pyar ka dawa faqat zabani hai

andhera rahta na baqi kahin magar 'afzal'
kab aandhiyon ne charaghon ki baat mani hai