suKHan mein sahl nahin jaan nikal kar rakhna
ye zindagi hai hamari sambhaal kar rakhna
khula ki ishq nahin hai kuchh aur is ke siwa
raza-e-yar jo ho apna haal kar rakhna
usi ka kaam hai farsh-e-zamin bichha dena
usi ka kaam sitare uchhaal kar rakhna
usi ka kaam hai is dukh-bhare zamane mein
mohabbaton se mujhe mala-mal kar rakhna
bas ek kaifiyat-e-dil mein bolte rahna
bas ek nashshe mein KHud ko nihaal kar rakhna
bas ek qamat-e-zeba ke KHwab mein rahna
basa ek shaKHs ko hadd-e-misal kar rakhna
guzarna husn ki nazzargi se pal-bhar ko
phir us ko zaiqa-e-la-zawal kar rakhna
kisi ke bas mein nahin tha kisi ke bas mein nahin
bulandiyon ko sada paemal kar rakhna
Ghazal
SuKHan mein sahl nahin jaan nikal kar rakhna
Obaidullah Aleem