اردو हिंदी
Subh tak main sochta hun sham se | Shaahi Shayari
subh tak main sochta hun sham se

Ghazal

Subh tak main sochta hun sham se

Ameer Qazalbash

;

subh tak main sochta hun sham se
ji raha hai kaun mere nam se

shahr mein sach bolta phirta hun main
log KHaif hain mere anjam se

raat bhar jagega chauki-dar ek
aur sab so jaenge aaram se

sau baras ka ho gaya mera mazar
ab nawaza jaun ga inam se

sath launga thakan be-kar ki
ghar se bahar ja raha hun kaam se

nam le us ka safar aaghaz kar
dur rakh dil ko zara auham se

zindagi ki dauD mein pichhe na tha
rah gaya wo sirf do ek gam se