اردو हिंदी
Subh-dam roti jo teri bazm se jati hai shama | Shaahi Shayari
subh-dam roti jo teri bazm se jati hai shama

Ghazal

Subh-dam roti jo teri bazm se jati hai shama

Imdad Imam Asar

;

subh-dam roti jo teri bazm se jati hai shama
saf mere soz-e-gham ka rang dikhlati hai shama

jis tarah kale ke man ke ru-ba-ru gul ho charagh
dekh kar tawiz-e-zulf-e-yar bujh jati hai shama

sirf parwana adab se dam-ba-KHud rahta nahin
tere roab-e-husn se mahfil mein tharraati hai shama

gher lete hain tujhe parwane us ko chhoD kar
jis mein tu ho kab farogh us bazm mein pati hai shama

karband-e-adl hote hain jo hain raushan-dimagh
bazm mein har samt yaksan nur pahunchati hai shama

parda-e-fanus se bahar nahin rakhti qadam
ru-ba-ru tere ruKH-e-raushan ke sharmati hai shama

ja-e-girya sohbat-e-ahle--tamasha hai 'asar'
hai baja roti hui jo bazm mein aati hai shama