اردو हिंदी
Subh-dam aaya to kya hangam-e-sham aaya to kya | Shaahi Shayari
subh-dam aaya to kya hangam-e-sham aaya to kya

Ghazal

Subh-dam aaya to kya hangam-e-sham aaya to kya

Amjad Najmi

;

subh-dam aaya to kya hangam-e-sham aaya to kya
tu meri nakaamiyon ke baad kaam aaya to kya

iltifat-e-awwalin ki baat hi kuchh aur hai
mujh tak un ki bazm mein ab daur-e-jam aaya to kya

taqat-e-nazzara jab minnat-pazir-e-hosh ho
bahr-jalwa phir koi baala-e-baam aaya to kya

shorish-e-hangama-e-mansur ki tajdid hai
qatl ko mere wo bain ehtimam aaya to kya

ab kahan wo fasl-e-gul aur ab kahan josh-e-bahaar
bahr-e-gul-gasht-e-chaman wo KHush-KHiram aaya to kya

ai hujum-e-na-muradi ai wufur-e-yas-o-gham
ishq mein kuchh lutf-e-sai-e-na-tamam aaya to kya

jab gareban mein hamare tar tak baqi nahin
phir agar subh-e-bahaaran ka payam aaya to kya

aarzu-e-dil abhi tak tishna-e-tafsir hai
tujh ko 'najmi' shiwa-e-husn-e-kalam aaya to kya