subh aankh khulti hai ek din nikalta hai
phir ye ek din barson sath sath chalta hai
kuchh na kuchh to hota hai ek tere na hone se
warna aisi baaton par kaun hath malta hai
qafile to sahra mein thak ke so bhi jate hain
chand baadalon ke sath sari raat chalta hai
dil charagh-e-mahfil hai lekin us ke aane tak
bar bar bujhta hai bar bar jalta hai
kulfaten judai ki umr bhar nahin jatin
ji bahal to jata hai par kahan bahalta hai
dil tapan nahin rahta main ghazal nahin kahta
ye sharar apni hi aag se uchhalta hai
main bisat-e-danish ka dur se tamashai
dekhta raha shatir kaise chaal chalta hai
Ghazal
Subh aankh khulti hai ek din nikalta hai
Hasan Abidi