اردو हिंदी
Soz hai dil ke dagh mein ab tak | Shaahi Shayari
soz hai dil ke dagh mein ab tak

Ghazal

Soz hai dil ke dagh mein ab tak

Amjad Najmi

;

soz hai dil ke dagh mein ab tak
raushni hai charagh mein ab tak

zulf-e-mushkin thi mehrban kis ki
bu basi hai dimagh mein ab tak

tishna-kaamon ko is se kya hasil
mai dhari hai ayagh mein ab tak

hae aawargi-e-baad-e-saba
hai ye kis ke suragh mein ab tak

go KHizan ka bhi daur-daura hai
phul khilte hain bagh mein ab tak

roz-o-shab mare mare phirte hain
hum talash-e-faragh mein ab tak

ye bhi bujh jaegi kabhi 'najmi'
raushni hai charagh mein ab tak