اردو हिंदी
Soz-e-junun ko dil ki ghiza kar diya gaya | Shaahi Shayari
soz-e-junun ko dil ki ghiza kar diya gaya

Ghazal

Soz-e-junun ko dil ki ghiza kar diya gaya

Ehsan Danish

;

soz-e-junun ko dil ki ghiza kar diya gaya
ek zahr-e-jaan-talab ko dawa kar diya gaya

nasur bhar sake na fughan zabt ho saki
jab nai ko nistan se juda kar diya gaya

ahl-e-wafa mein maut ki talKHi ko sar-ba-sar
qandab-e-zindagi se siwa kar diya gaya

azbar kara diya hai KHizan ko nisab-e-gul
sarsar ko dars de ke saba kar diya gaya

suraj se rang rang ki kirnen bikher kar
miTTi ka zard khet hara kar diya gaya

lahki azan bajne lage raston ke farsh
kirnon ko qaid-e-shab se riha kar diya gaya

ruh-e-bahaar KHun-e-shahidan ka rang dekh
KHak-e-chaman ko lala-qaba kar diya gaya