اردو हिंदी
Soe hue jazbon ko jagana hi nahin tha | Shaahi Shayari
soe hue jazbon ko jagana hi nahin tha

Ghazal

Soe hue jazbon ko jagana hi nahin tha

Ghulam Mohammad Qasir

;

soe hue jazbon ko jagana hi nahin tha
ai dil wo mohabbat ka zamana hi nahin tha

mahke the charagh aur dahak uTThi thin kaliyan
go sab ko KHabar thi use aana hi nahin tha

diwar pe wadon ki amar-bel chaDha di
ruKHsat ke liye aur bahana hi nahin tha

uDti hui chingariyan sone nahin detin
ruThe hue is KHat ko jalana hi nahin tha

ninden bhi nazar band hain tabir bhi qaidi
zindan mein koi KHwab sunana hi nahin tha

pani to hai kam naql-e-makani hai zyaada
ye shahr sarabon mein basana hi nahin tha