اردو हिंदी
Siyah dasht ki jaanib safar dobara kiya | Shaahi Shayari
siyah dasht ki jaanib safar dobara kiya

Ghazal

Siyah dasht ki jaanib safar dobara kiya

Rafiq Raaz

;

siyah dasht ki jaanib safar dobara kiya
na jaane qaf ki pariyon ne kya ishaara kiya

na tez o tund hawa se mili najat mujhe
na main ne saltanat-e-KHak se kinara kiya

falak ki samt nigahen uThane se pahle
zamin ke sare manazir ko para para kiya

siyah ban mein chamakta hun misl-e-dida-e-sher
ye kis ne zarra-e-awara ko sitara kiya

KHumar-e-KHwab utarne mein thoDi der lagi
phir us ke baad baDe shauq se nazara kiya

kisi ne mund ke aankhon ko phir se khol diya
ye kis ne aap ko duniya pe aashkara kiya

hamare hone ke manzar ki bhi karamat dekh
tumhaari chashm ko fawwara-e-sharara kiya

nashe mein naqsha riyasat hi ka bigaD diya
ye kya kiya ki samarqand ko buKHara kiya