sitam-e-kaamyab ne mara
karam-e-la-jawab ne mara
KHud hui gum hamein bhi kho baiThi
nigah-e-bazyab ne mara
zindagi thi hijab ke dam tak
barhami-e-hijab ne mara
ishq ke har sukun-e-aKHir ko
husn ke iztirab ne mara
KHud nazar ban gai hijab-e-nazar
hae us be-hijab ne mara
main tera aks hun ki tu mera
is sawal-o-jawab ne mara
koi puchhe ki rah ke pahlu mein
tir kya iztirab ne mara
bach raha jo teri tajalli se
us ko tere hijab ne mara
ab nazar ko kahin qarar nahin
kawish-e-intiKHab ne mara
sab ko mara 'jigar' ke sheron ne
aur 'jigar' ko sharab ne mara
Ghazal
Sitam-e-kaamyab ne mara
Jigar Moradabadi