اردو हिंदी
Silsile ye kaise hain TuT kar nahin milte | Shaahi Shayari
silsile ye kaise hain TuT kar nahin milte

Ghazal

Silsile ye kaise hain TuT kar nahin milte

Rauf Khalish

;

silsile ye kaise hain TuT kar nahin milte
jo bichhaD gae lamhe umr-bhar nahin milte

shor karte rahte hain jism-o-jaan ke sannaTe
jab tawil rahon mein ham-safar nahin milte

dhup ki tamazat se jo bachao kar pate
surajon ke shahron mein wo shajar nahin milte

chahaton bhare kamre dil khule khula aangan
ab to DhunDne par bhi aise ghar nahin milte

sab ne har zarurat se kar rakha hai samjhauta
log milte rahte hain dil magar nahin milte

waqt ne to basti ki shakl hi badal di hai
jin pe raunaqen thin wo baam-o-dar nahin milte

apne naf-o-nuqsan ka sab hisab rakhte hain
hum se milne wale bhi be-KHabar nahin milte

in dinon 'KHalish' aksar manzaron ke wo tewar
ajnabi dayaron ki KHak par nahin milte