اردو हिंदी
Silsila ab bhi KHwabon ka TuTa nahin | Shaahi Shayari
silsila ab bhi KHwabon ka TuTa nahin

Ghazal

Silsila ab bhi KHwabon ka TuTa nahin

Aashufta Changezi

;

silsila ab bhi KHwabon ka TuTa nahin
kuch kar jaen kab kuchh bharosa nahin

hain fasilon se uljhe hue sar-phire
dur tak koi shahr-e-tamanna nahin

sham se hi gharon mein paDin kunDiyan
chand is shahr mein kyun nikalta nahin

aag lagne ki KHabren to pahunchin magar
koi hairat nahin koi chaunka nahin

chhin kar mujh se le jae mera badan
mo'tabar itna koi andhera nahin

kya yahi milte rahne ka inam hai
ek khiDki nahin ek jharoka nahin

ek manzar mein lipTe badan ke siwa
sard raaton mein kuchh aur dikhta nahin

tez ho jaen is ka to imkan hai
aandhiyan ab ruken aisa lagta nahin