sikka-e-dagh-e-junun milte jo daulat mangta
tang karti muflisi gar main faraghat mangta
ranj se fursat na milti main jo rahat mangta
bojh hota sar pe gar qarun ki daulat mangta
gar mujhe hoti KHabar mera masiha aaega
ai ajal ek dam ki main bhi tujh se mohlat mangta
KHizr ki si zindagi hoti jo mujh nakaam ki
main dua-e-wasl-e-jaanan ta-qayamat mangta
ashk ke dariya ne rakh li aabru ai chashm-e-tar
marte dam do gaz zamin kya bahr-e-turbat mangta
kis ki aamad aamad apne kalba-e-ahzan mein hai
peshwai ko hai dil pahlu se ruKHsat mangta
dar-guzarta jaan tak karta zamin us se aziz
mujh se darban-e-dar-e-jaanan jo rishwat mangta
naza tak didar ki hasrat rahi mushtaq ko
ai masiha mar gaya bimar sharbat mangta
dar-ba-dar phirne ne meri qadr khoi ai falak
un ke dil mein hai jagah milti jo KHalwat mangta
minnaten kar ke chhuData bulbulon ko dam se
main zar-e-gul deta agar sayyaad qimat mangta
aadamiyyat se hain dur in zahidon ke qaul-o-feal
haqq-e-maurusi tha mera kyun main jannat mangta
jaan di nahaq ko makkara ke dam mein aan kar
kohkan shirin se mehnat ki jo ujrat mangta
qasd karta gar bulandi ka to pasti dekhta
kund ho jati tabiat gar main jaudat mangta
zulf ke janjal mein phansne ki KHud karta dua
main siDi tha jo KHuda se apni shamat mangta
qael apni guftugu se KHas ka hota kalim
'sadi'-e-shiraaz bhi mujh se fasahat mangta
yar hota bagh hota aise gar hote nasib
mai-kashi ki mohtasib se main ijazat mangta
dasht-e-wahshat-KHez mein uryan hai 'agha' aap hi
qasid-e-jaanan ko kya deta jo KHilat mangta
Ghazal
Sikka-e-dagh-e-junun milte jo daulat mangta
Aagha Akbarabadi