اردو हिंदी
Sine mein agar ho dil-e-bedar-e-mohabbat | Shaahi Shayari
sine mein agar ho dil-e-bedar-e-mohabbat

Ghazal

Sine mein agar ho dil-e-bedar-e-mohabbat

Jigar Moradabadi

;

sine mein agar ho dil-e-bedar-e-mohabbat
har sans hai paighambar-e-asrar-e-mohabbat

wo bhi hue jate hain taraf-dar-e-mohabbat
achchhe nazar aate nahin aasar-e-mohabbat

hoshyar ho ai be-KHud-o-sarshaar-e-mohabbat
izhaar-e-mohabbat! are izhaar-e-mohabbat

ta-der na ho dil bhi KHabar-dar-e-mohabbat
ek ye bhi hai andaz-e-fusun-kar-e-mohabbat

tauhin-e-nigah-e-karam-e-yar kahan tak
dam lene de ai lazzat-e-azar-e-mohabbat

sab phunk diye KHar-o-KHas-e-mazhab-o-millat
allah-re yak-shoala-e-ruKHsar-e-mohabbat

kaunain se kya ahl-e-mohabbat ko sarokar
kaunain hai KHud hashiya-bardar-e-mohabbat

jo arsh ki rifat ko bhi us dar pe jhuka de
aisa bhi koi jazba-e-sarshaar-e-mohabbat

main ne inhen tarik fazaon mein bhi akasr
dekhe hain baraste hue anwar-e-mohabbat

naseh ko hai kyun meri mohabbat se sarokar
chehre se to khulte nahin aasar-e-mohabbat

main aur ye namkin-e-gham-e-ishq are tauba
tu aur ye ehsas-e-giran-bar-e-mohabbat!

ab arz-e-mohabbat ki 'jigar' kyun nahin jurat
wo samne hain garm hai bazar-e-mohabbat