sine ki aag aatish-e-mahshar ho jis tarah
yun maujzan hai gham ki samundar ho jis tarah
zaKHmon se yun hai jism ki diwar zau-fagan
shoalon ka raqs shaKH-e-shajar par ho jis tarah
baadal ka shor hanpte peDon ki bebasi
yun dekhta hun mere hi andar ho jis tarah
uDte hue ghubar mein aankhon ka dasht bhi
kuchh yun laga ki KHushk samundar ho jis tarah
basti ke ek moD pe barson se ek khanDar
yun nauhagar hai mera muqaddar ho jis tarah
viraniyon ka kis se gila kijiye ki dil
itna udas hai ki luTa ghar ho jis tarah
sukh ki ugi na dhup na dukh ki miTi lakir
yun hai mera nasib ki patthar ho jis tarah
ehsas mein shadid talatum ke bawajud
chup hun mujhe sukun mayassar ho jis tarah
yun hasraton ke KHun ki mahak mein basa hai dil
mehndi-racha wo hat moattar ho jis tarah
pyasa hun pas hai wo chamakta hua badan
yun hat kanpta hai koi Dar ho jis tarah
patthar na jaan tujh ko dikhaunga aab-o-tab
yun qaid hun ki sip mein gauhar ho jis tarah
'zulfi' ko khincho! dar pe diwar mein chuno
sach bolta hai yun ki payambar ho jis tarah
Ghazal
Sine ki aag aatish-e-mahshar ho jis tarah
Saif Zulfi