sina dahak raha ho to kya chup rahe koi
kyun chiKH chiKH kar na gala chhil le koi
sabit hua sukun-e-dil-o-jaan kahin nahin
rishton mein DhunDhta hai to DhunDa kare koi
tark-e-talluqat koi masala nahin
ye to wo rasta hai ki bas chal paDe koi
diwar jaanta tha jise main wo dhul thi
ab mujh ko e'timad ki dawat na de koi
main KHud ye chahta hun ki haalat hun KHarab
mere KHilaf zahr ugalta phire koi
ai shaKHs ab to mujh ko sabhi kuchh qubul hai
ye bhi qubul hai ki tujhe chhin le koi
han Thik hai main apni ana ka mariz hun
aaKHir mere mizaj mein kyun daKHl de koi
ek shaKHs kar raha hai abhi tak wafa ka zikr
kash us zaban-daraaz ka munh noch le koi
Ghazal
Sina dahak raha ho to kya chup rahe koi
Jaun Eliya