اردو हिंदी
Shuur-o-fikr se aage nikal bhi sakta hai | Shaahi Shayari
shuur-o-fikr se aage nikal bhi sakta hai

Ghazal

Shuur-o-fikr se aage nikal bhi sakta hai

Zulfiqar Naqvi

;

shuur-o-fikr se aage nikal bhi sakta hai
mera junun hawaon pe chal bhi sakta hai

mere guman pe uThao na ungliyan sahab
guman yaqin mein yaqinan badal bhi sakta hai

pahaD apni qadamat pe yun na itraen
ubhar gaya koi zarra nigal bhi sakta hai

mere labon pe jami barf soch kar chhuna
tumhaare jism ka aahan pighal bhi sakta hai

koi asa bhi nahin aur hai akela tu
amir-e-shahr ka azhdar nigal bhi sakta hai

hamare sath jo chalna hai zad-e-rah le lo
kaThin se moD hain panw phisal bhi sakta hai

karo na zid ki kisi shahr ki taraf jaun
mere aziz ye dil hai machal bhi sakta hai

kar apne sae se raaz-o-niyaz ki baaten
bahut udas hai lekin bahal bhi sakta hai

bas ek nazar jo karam ki wo us taraf phere
qadam bahak jo gaya hai sambhal bhi sakta hai