shola-e-shauq ki aaghosh mein kyunkar aaun
ek tamanna hun ki miT jaun agar bar aaun
ek dawat hun agar un ke labon par khelun
ek hasrat hun agar KHud ko mayassar aaun
har taraf se mujhe kya ghur rahi hain aankhen
KHwab hun dida-e-bedar mein kyunkar aaun
ek aalam hun jise bas koi mahsus kare
koi mani hun ki alfaz ke andar aaun
naqsh-bar-ab sahi kuchh bhi sahi hun to sahi
ret ki qaid mein kya KHud se bichhaD kar aaun
meri pahchan ho shayad inhin zarron ki chamak
apne ghar mein isi zine se utar kar aaun
meri aayat pe iman na lane walo
tab laoge agar jild se bahar aaun
phunk Dalin mere shoale ne fazaen sari
isi dhun mein ki nazar apne barabar aaun
le chuka aab-e-baqa tujh se ab ai bahr-e-arab
uD ke jata hun ki ye qarz ada kar aaun
apne daman mein kaho aag sambhaalun kyunkar
hath apne to 'muhib' KHair se aksar aaun
Ghazal
Shola-e-shauq ki aaghosh mein kyunkar aaun
Muhib Aarfi

