shoala sa koi barq-e-nazar se nahin uThta
ab koi dhuan dil ke nagar se nahin uThta
wo raunaq-e-kashana-e-dil bujh si gai hai
ab shor koi is bhare ghar se nahin uThta
kab taqat-e-shorida-sari sar ko jo Takraen
wo zoaf hai ab sar tere dar se nahin uThta
is jumbish-e-mizhgan ka hun sharminda-e-ehsan
ye bar-e-garan apni nazar se nahin uThta
labbaik kahe naqa-e-laila ko bhala kaun
ab qais koi gard-e-safar se nahin uThta
tabdil hui aab-o-hawa shahr-e-wafa ki
ab dard ka tufan idhar se nahin uThta
yun rah-e-talab deti hai aawaz hamein bhi
ab panw kisi baat ke Dar se nahin uThta
diwane ko nind aa gai tariki-e-shab mein
soya hai to ab KHauf-e-sahar se nahin uThta
yaro use dekho kahin 'baqar' to nahin hai
pahron jo kisi rahguzar se nahin uThta

Ghazal
Shoala sa koi barq-e-nazar se nahin uThta
Sajjad Baqar Rizvi