اردو हिंदी
Shikasta jism darida jabin ki jaanib | Shaahi Shayari
shikasta jism darida jabin ki jaanib

Ghazal

Shikasta jism darida jabin ki jaanib

Shahid Kamal

;

shikasta jism darida jabin ki jaanib
kabhi to dekh mere ham-nashin ki jaanib

main apna zaKHm dikhaun tujhe ki main dekhun
lahu mein Dubi hui aastin ki jaanib

in aasman-mizajon se hai bala ka gurez
palaT raha hun main apni zamin ki jaanib

kuchh apne harf ke moti kuchh apne lafz ke phul
uchhaal aaya hun us naznin ki jaanib

kisi ki chashm taaqub ki zad mein rahta hun
main dekhta hun jab us mah-jabin ki jaanib

KHud apne hone pe mujh ko yaqin hai lekin
main dekhta hun guman se yaqin ki jaanib

masaf-e-jaan mein khaDa hun mere adu se kaho
wo dekhta hai yasar-o-yamin ki jaanib

kisi ne tham li baDh kar mere faras ki rikab
kisi ne hath baDhaya tha zin ki jaanib

KHud apne fan ka ye 'shahid' kamal hai naqqad
wo dekhta hi nahin naqidin ki jaanib