shikayat kar rahe hain sajda-ha-e-raegan mujh se
na dekha jaega ab su-e-sang-e-astan mujh se
hai kal ki baat sharminda tha husn-e-raegan mujh se
ye jalwe mangte the ek nigah-e-mehrban mujh se
nazar rakh kar qanaat kar raha hun main tasawwur par
ye jalwe chahte hain aur kya qurbaniyan mujh se
mohabbat meri baDh kar aa gai hai bad-gumani tak!
maza aa jae ho jaen jo wo bhi bad-guman mujh se
mashiyyat chahti thi mujh ko mahw-e-KHwab mein rakhna
main kya karta na roki ja sakin angDaiyan mujh se
karishme qudrat-e-mutlaq ke hain baala-e-shak lekin
main jab jaanun ki baDh kar chhin len majburiyan mujh se
junun-jaulan-e-dasht-e-justuju hun kya KHabar is ki
mili manzil kahan mujh ko chhuTi manzil kahan mujh se
Ghazal
Shikayat kar rahe hain sajda-ha-e-raegan mujhse
Parvez Shahidi