shauq tha shabab ka husn par nazar gai
luT ke tab KHabar hui zindagi kidhar gai
zindagi qarib hai kis qadar jamal se
jab koi sanwar gaya zindagi sanwar gai
hai chaman ki aabru qafila bahaar ka
bu-e-gul ka sath kya be-wafa jidhar gai
dekhte hi dekhte din gae bahaar ke
fasl-e-gul bhi kis qadar tez-tar guzar gai
kyun sakun nasib hain hijr ki daraaziyan
jaise pyas bujh gai jaise bhuk mar gai
kya KHabar 'nushur' thi manzil hayat ki
phul le liya magar nok-e-KHar utar gai
Ghazal
Shauq tha shabab ka husn par nazar gai
Nushur Wahidi

