shauq raaton ko hai darpai ki tapan ho jaun
raqs-e-wahshat mein uThun aur dhuan ho jaun
sath agar baad-e-sahar de to pas-e-mahmil-e-yar
ek bhaTakti hui aawaz-e-fughan ho jaun
ab ye ehsas ka aalam hai ki shayad kisi raat
nafas-e-sard se bhi shoala-ba-jaan ho jaun
la surahi ki karun wahm-o-guman gharq-e-sharab
is se pahle ki main KHud wahm-o-guman ho jaun
wo tamasha hun hazaron mere aaine hain
ek aaine se mushkil hai ayan ho jaun
shauq mein zabt hai malhuz magar kya malum
kis ghaDi be-KHabar-e-sud-o-ziyan ho jaun
aisa andaz-e-ghazal ho ki zamane mein 'zafar'
daur-e-ainda ki qadron ka nishan ho jaun
Ghazal
Shauq raaton ko hai darpai ki tapan ho jaun
Sirajuddin Zafar