اردو हिंदी
Shauq apna aap main apni zaban se kyun kahun | Shaahi Shayari
shauq apna aap main apni zaban se kyun kahun

Ghazal

Shauq apna aap main apni zaban se kyun kahun

Bekhud Dehlvi

;

shauq apna aap main apni zaban se kyun kahun
dil jo kuchh kahta hai wo us bad-guman se kyun kahun

tum samajh lo soch lo tum taD lo pahchan lo
baat apne dil ki main apni zaban se kyun kahun

kan mein sun lo idhar aa kar meri ek baat tum
tum se kuchh kahta hun main sare jahan se kyun kahun

dastan awwal se suniye meri sunni hai agar
aap kahte hain jahan se main wahan se kyun kahun

kan mein chupke se 'beKHud' jo kaha hai yar ne
rashk aata hai mujhe wo raaz-dan se kyun kahun