sharik-e-gham koi kab mo'atabar nikalta hai
siwae dal ke so wo be-KHabar nikalta hai
ye kaisa shahr hai kaisi hai sar-zamin us ki
jahan ki KHak palaTta hun sar nikalta hai
jidhar hain pyase udhar barishen hain tiron ki
jidhar ghanim hai dariya udhar nikalta hai
use KHabar hai ki zulmat hai saf-ba-saf har-su
ujala hath mein le kar sipar nikalta hai
hafiz hathon ka saya hai saeban jaisa
yaqin hota hai dil ko na Dar nikalta hai
ajib dhund hai dasht-e-safar pe chhai hui
na KHatm hota hai rasta na ghar nikalta hai
'mujibi' saunp di jis ko mata-e-jaan main ne
usi ka qarz mere nam par nikalta hai
Ghazal
Sharik-e-gham koi kab moatabar nikalta hai
Siddique Mujibi

