sharar-e-sang jo is shor-o-shar se niklega
jalus-e-lala-o-nasrin kidhar se niklega
main jaanta hun ki us ki KHabar na aaegi
tanazur us ka magar har KHabar se niklega
sabhi asir hue apni apni subhon ke
wo koi hoga jo qaid-e-sahar se niklega
kisi ko apne siwa kuchh nazar nahin aata
jo dida-war hai tilism-e-nazar se niklega
jalal-e-husn dikha mere mahtab-e-jamal
tu raushni hai shabon ke asar se niklega
shabon ko jagte ho jis ke KHwab mein 'akbar'
wo shahkar kamal-e-hunar se niklega
Ghazal
Sharar-e-sang jo is shor-o-shar se niklega
Akbar Hameedi