sharab-e-nab ka qatra jo saghar se nikal jae
taDap ke dil mera qabu-e-dil-bar se nikal jae
KHushi mein kah raha hun aamad aamad hai jo us gul ki
koi kah de ki virani mere ghar se nikal jae
satate hain raqib aa aa ke main go chhup ke baiTha hun
ajab ye zulm hai koi kidhar ghar se nikal jae
agar sun le ki tere saKHt-jaan ki bari aa pahunchi
simaT kar aab-e-KHanjar chashm-e-jauhar se nikal jae
nikalo rose ghar se Dar nahin lekin ye hai dhaDka
ki mera nam hi ek din na daftar se nikal jae
ghaTa ke main ne apna shauq-e-dil likkha hai jaanan ko
ki uDne mein na KHat aage kabutar se nikal jae
na jaane ki karo jaldi ki qissa KHatm hota hai
Thahar jao zara dam jism-e-laghar se nikal jae
qafas mein dam mein mere phaDakne ka ye bais hai
hawa parwaz karne ki mere par se nikal jae
ijazat abr ko dar par Thaharne ki nahin dete
bas itna hukm hai aa ke faqat barse nikal jae
'rashid'-e-soKHta-dil sar paTakne par hai aamada
kaho har ek sharar se jald patthar se nikal jae
Ghazal
Sharab-e-nab ka qatra jo saghar se nikal jae
Rasheed lakhnavi

