اردو हिंदी
Shams madum hai taron mein ziya hai to sahi | Shaahi Shayari
shams madum hai taron mein ziya hai to sahi

Ghazal

Shams madum hai taron mein ziya hai to sahi

Afroz Alam

;

shams madum hai taron mein ziya hai to sahi
chandni raat mein mad-mast hawa hai to sahi

KHwahish-e-ishq ki takmil kahan hoti hai
garche wo shoKH nahin shoKH-numa hai to sahi

aahaTen jag ke tariKH ko dastak dengi
aas ke sine mein ek zaKHm hara hai to sahi

subh ki rah mein zulmat ke sang aate hain
main ne har sang ko Thokar pe rakha hai to sahi

han usi uqde se uljha hai taKHayyul ka shuur
yani uljha hua hathon mein sira hai to sahi

jumbish-e-lab se mere dar pe sar aate hain
phir bhi kuchh raaz fazaon mein khula hai to sahi

garche main hadi-o-rahbar nahin hun 'alam' ka
phir bhi hathon mein mere ek asa hai to sahi