sham-e-tanha ki tarah subh ke tare jaise
shahr mein ek hi do honge hamare jaise
chhu gaya tha kabhi is jism ko ek shola-e-dard
aaj tak KHak se uDte hain sharare jaise
hausle deta hai ye abr-e-gurezan kya kya
zinda hun dasht mein hum us ke sahaare jaise
saKHt-jaan hum sa koi tum ne na dekha hoga
hum ne qatil kai dekhe hain tumhaare jaise
didani hai mujhe sine se lagana us ka
apne shanon se koi bojh utare jaise
ab jo chamka hai ye KHanjar to KHayal aata hai
tujh ko dekha ho kabhi nahr kinare jaise
us ki aankhen hain ki ek Dubne wala insan
dusre Dubne wale ko pukare jaise
Ghazal
Sham-e-tanha ki tarah subh ke tare jaise
Irfan Siddiqi