اردو हिंदी
Sham-e-mazar thi na koi sogwar tha | Shaahi Shayari
sham-e-mazar thi na koi sogwar tha

Ghazal

Sham-e-mazar thi na koi sogwar tha

Bekhud Dehlvi

;

sham-e-mazar thi na koi sogwar tha
tum jis pe ro rahe the ye kis ka mazar tha

taDpunga umr-bhar dil-e-marhum ke liye
kam-baKHt na-murad laDakpan ka yar tha

sauda-e-ishq aur hai wahshat kuchh aur shai
majnun ka koi dost fasana-nigar tha

jadu hai ya tilism tumhaari zaban mein
tum jhuT kah rahe the mujhe e'tibar tha

kya kya hamare sajde ki ruswaiyan huin
naqsh-e-qadam kisi ka sar-e-rahguzar tha

is waqt tak to waza mein aaya nahin hai farq
tera karam sharik jo parwardigar tha