sham-e-dil sham-e-tamanna na jala man bhi ja
tez aandhi hai muKHalif hai hawa man bhi ja
aisi duniya mein junun aise zamane mein wafa
is tarah KHud ko tamasha na bana man bhi ja
kab talak sath tera denge ye dhundle sae
dekh nadan na ban hosh mein aa man bhi ja
zindagi mein abhi KHushiyan bhi hain ranai bhi
zindagi se abhi daman na chhuDa man bhi ja
shahr phir shahr hai yan ji to bahal jata hai
shahr ko chhoD ke sahra ko na ja man bhi ja
Ghazal
Sham-e-dil sham-e-tamanna na jala man bhi ja
Shahryar

