shajar hain ab samar-asar mere
chale aate hain dawedar mere
muhajir hain na ab ansar mere
muKHalif hain bahut is bar mere
yahan ek bund ka muhtaj hun main
samundar hain samundar par mere
abhi murdon mein ruhen phunk Dalen
agar chahen to ye bimar mere
hawaen oDh kar soya tha dushman
gae bekar sare war mere
main aa kar dushmanon mein bas gaya hun
yahan hamdard hain do-chaar mere
hansi mein Tal dena tha mujhe bhi
KHata kyun ho gae sarkar mere
tasawwur mein na jaane kaun aaya
mahak uTThe dar-o-diwar mere
tumhaara nam duniya jaanti hai
bahut ruswa hain ab ashaar mere
bhanwar mein ruk gai hai naw meri
kinare rah gae is par mere
main KHud apni hifazat kar raha hun
abhi soe hain pahre-dar mere
Ghazal
Shajar hain ab samar-asar mere
Rahat Indori