اردو हिंदी
ShaiKH ke haal par tassuf hai | Shaahi Shayari
shaiKH ke haal par tassuf hai

Ghazal

ShaiKH ke haal par tassuf hai

Imdad Imam Asar

;

shaiKH ke haal par tassuf hai
shakl-e-rozi ki ek tasawwuf hai

jis ki auqat ho tasawwuf par
us ke is rozgar par tuf hai

jin ko dawa hai haq-shanasi ka
un se bande ko bhi taaruf hai

na to irfan ke un mein hain andaz
marifat se na kuchh tasharruf hai

kaisi tamil-e-hukm KHaliq ki
kaisa islam sad-tassuf hai

kaun se amar-e-din ko koi kahe
din ka din hi tasawwuf hai

din-e-ahmad se ho jo bahar baat
wahi is ahd mein tasawwuf hai

mal jo kuchh hai bewaqufon ka
shaiKH ka mal be-takalluf hai

hai 'asar' ye tasarruf-e-be-ja
aur koi nahin tasarruf hai