shahr viran udas hain galiyan
rahguzaron se uTh raha hai dhuan
aatish-e-gham mein jal rahe hain dayar
gard-alud hai ruKH-e-dauran
bastiyon par ghamon ki yurish hai
qarya qarya hai waqf-e-ah-o-fughan
subh be-nur sham be-maya
luT gai daulat-e-nigah kahan
phir rahe hain tuyur aawara
barq har shaKH par hai shoala-fishan
meri tanhaiyon pe surat-e-shama
ro raha hai alam-nasib saman
mere shanon se teri zulfon tak
fasla umr ka hai meri jaan
Ghazal
Shahr viran udas hain galiyan
Habib Jalib

