اردو हिंदी
Shahr ka shahr basa hai mujh mein | Shaahi Shayari
shahr ka shahr basa hai mujh mein

Ghazal

Shahr ka shahr basa hai mujh mein

Rais Farogh

;

shahr ka shahr basa hai mujh mein
ek sahra bhi saja hai mujh mein

kai din se koi aawara KHayal
rasta bhul raha hai mujh mein

raat mahki to phir aankhen mal ke
koi sote se uTha hai mujh mein

dhup hai aur bahut hai lekin
chhanw is se bhi siwa hai mujh mein

kab se uljhe hain ye chehron ke hujum
kaun sa jal bichha hai mujh mein

koi aalam nahin banta mera
rang KHushbu se juda hai mujh mein

aisa lagta hai ki jaise koi
aaina TuT gaya hai mujh mein

aate jate rahe mausam kya kya
jo faza thi wo faza hai mujh mein