اردو हिंदी
Shahr-e-suKHan ajib ho gaya hai | Shaahi Shayari
shahr-e-suKHan ajib ho gaya hai

Ghazal

Shahr-e-suKHan ajib ho gaya hai

Yaqoob Yawar

;

shahr-e-suKHan ajib ho gaya hai
naqid yahan adib ho gaya hai

jhuT in dinon udas hai ki sach bhi
parwarda-e-salib ho gaya hai

garmi se phir badan pighal rahe hain
shayad koi qarib ho gaya hai

aabaadiyon mein Dub kar mera dil
jangal se bhi muhib ho gaya hai

kya kya gile nahin use watan se
'yawar' kahan gharib ho gaya hai