اردو हिंदी
Shahr-e-ghazal mein dhul uDegi fan banjar ho jaega | Shaahi Shayari
shahr-e-ghazal mein dhul uDegi fan banjar ho jaega

Ghazal

Shahr-e-ghazal mein dhul uDegi fan banjar ho jaega

Qaisar-ul-Jafri

;

shahr-e-ghazal mein dhul uDegi fan banjar ho jaega
jis din sukhe dil ke aansu sab patjhaD ho jaega

TuTengi jab nind se palken so jaunga chupke se
jis jangal mein raat paDegi mera ghar ho jaega

KHwabon ke ye panchhi kab tak shor karenge palkon par
sham Dhalegi aur sannaTa shaKHon par ho jaega

raat qalam le ke aaegi itni siyahi chhiDkegi
din ka sara manzar-nama be-manzar ho jaega

dil ki kashti ek taraf hai lakhon duaen ek taraf
sukha to kya gham ka dariya chullu bhar ho jaega

'qaisar' ro lo ghazlen kah lo baqi hai kuchh dard abhi
agli ruton mein yun lagta hai sab patthar ho jaega