shahr-e-ehsas mein zaKHmon ke KHaridar bahut
hath mein sang uTha shishon ke bazar bahut
koi khiDki hai salamat na koi darwaza
mere ghar ke sabhi kamre hain hawa-dar bahut
hath thakte nahin rangon ke hayule ban kar
ahl-e-fan ko sar-e-kaghaz KHat-e-pur-kar bahut
dasht mein bhi wahi aasar hain aabaadi ke
phailta jata hai ab saya-e-diwar bahut
dhup ka phul gira shaKH-e-shafaq se jis dam
din ka chehra nazar aata tha shikan-dar bahut
naqsh hai zehn pe yun tera tilismi paikar
main hun KHud apni nigahon mein pur-asrar bahut
lafz kirnon ki tarah dil mein utar jate hain
dil nashin hai tera pairaya-e-izhaar bahut
KHauf dushman ki tarah mere taaqub mein bhi tha
KHanjar-e-wahm ke main ne bhi sahe war bahut
tan gae itne mere gird hawaon ke pahaD
sans lena bhi hai mere liye dushwar bahut
ab bhi lamhon se salasil ki khanak aati hai
ab bhi hain waqt ke zindan mein giraftar bahut
zaKHm ke chand na raaton ko mere dil mein utar
mere sine pe na rakh sang-e-giran-bar bahut
tirgi aae na 'siddiq' ziya ke nazdik
kaT rakhti hai ye TuTi hui talwar bahut

Ghazal
Shahr-e-ehsas mein zaKHmon ke KHaridar bahut
Siddique Afghani