shahid-e-arman paDe hain bismil khaDa wo talwar ka dhani hai
idhar to ye qatl-e-am dekha udhar wo kaisi kaTa-chhani hai
hua hai nairang aaj kaisa ye dil mein qatil ke kya Thani hai
jidhar se guzra zaban se nikla ye kushtani hai wo kushtani hai
bigaD ke hum ko bigaD Dala sanwarna hi tumhein na aaya
bano jo munsif bataen dilbar ki is bigaDne se kya bani hai
kabhi hansati hai yaad teri kabhi rulata hai hijr tera
ye qabil-e-did hai tamasha ye sair-e-be-mehr didani hai
suna hai maqtal mein aaj koi qatil-e-hasrat shahid hoga
hui jo shohrat ye shahar mein hai har ek taraf ek sansani hai
karam hai dariya-dilon ki zinat kahan baKHilon ki hai ye tinat
use tawangar nahin kahenge jo koi mohtaj-e-dil ghani hai
shikast-e-paiman ka hum ko aadi kiya hai ek mast-e-nosh-e-lab ne
ba-maslahat hum hue hain taib ye tauba aaKHir shikastni hai
dikha ke hum ko jamal-e-rana kiya hai kyun rah-naward-e-wahshat
bane the KHud rahnuma hamare ye rahbari mein bhi rahzani hai
tariq un ka hi sulh-e-kul hai jo be-hama ba-hama nazar hain
hamein ye bartaw ne dikhaya ki dosti mein bhi dushmani hai
wafa-shiari hai jaan-nisari hai uzr-e-shikwa na arz-e-matlab
hamin hain ek be-nazir talib harif jo hai wo yak-fani hai
wo aaya turbat pe bewafa gul har ek se afsurda ho ke puchha
ye kis ki mashhad pe hai charaghan jo ibrat-angez raushni hai
fana-e-qalbi hai fath-e-aini hua hai gar mahw sharh-e-sadri
yahi hai miftah-e-dil-kushai ye kashf-e-baatin ki jaankani hai
hue jo ye mubtala-e-ulfat asir dam-e-visal ke hain
hawa-e-zulf-e-KHayal-e-jaanan bani hui tauq-e-gardni hai
ye kis qalandar ko mar Dala ghazab kiya jama-posh-e-naKHwat
khaDa hua ro raha hai jazba giri hui pak-damani hai
kabhi na honge murid-e-jiddat nahin hain mushtaq-e-husn-e-bidat
hamara mashrab hai sufiyana hamara mazhab sanatani hai
kiya hai ibrat-misal kaisa KHayal-e-ibrat-nazar ne hum ko
karen talluq kisi se kya hum jo shakl dekhi guzishtani hai
sifat mein zat hai numayan hui wo baaligh-nazar hai nisbat
kiya hai mahw-e-jamal-e-jaanan ye sair-qalbi ki raushni hai
na hon gharabt-asar ye ai dil nuqush-e-nairang-e-shan-e-fitrat
koi hua be-niyaz-e-alam koi hai muflis koi ghani hai
hue na isar o buzl se ai karim hum mustafiz ab tak
tumhaara shewa jo hai saKHa ka pasand-e-aKHlaq-e-mohsini hai
firaqe-e-gul se jo nala-kash hai qafas mein bulbul shahid-e-jalwa
bahaar-e-gulshan KHizan-numa hai junun-zada abr-e-bahmani hai
mila na jam-e-sharab 'saqi' koi qadah bang ka ata ho
hamare pir-e-mughan KHizar hain subu mein sabzi bhi to chhani hai
Ghazal
Shahid-e-arman paDe hain bismil khaDa wo talwar ka dhani hai
Pandit Jawahar Nath Saqi

