shab wahi lekin sitara aur hai
ab safar ka istiara aur hai
ek muTThi ret mein kaise rahe
is samundar ka kinara aur hai
mauj ke muDne mein kitni der hai
naw Dali aur dhaara aur hai
jang ka hathiyar tai kuchh aur tha
tir sine mein utara aur hai
matn mein to jurm sabit hai magar
hashiya sare ka sara aur hai
sath to mera zamin deti magar
aasman ka hi ishaara aur hai
dhup mein diwar hi kaam aaegi
tez barish ka sahaara aur hai
haarne mein ek ana ki baat thi
jit jaane mein KHasara aur hai
sukh ke mausam ungliyon par gin liye
fasl-e-gham ka goshwara aur hai
der se palken nahin jhapkin meri
pesh-e-jaan ab ke nazara aur hai
aur kuchh pal us ka rasta dekh lun
aasman par ek tara aur hai
had charaghon ki yahan se KHatm hai
aaj se rasta hamara aur hai
Ghazal
Shab wahi lekin sitara aur hai
Parveen Shakir