اردو हिंदी
Shab-e-mahtab ne shah-nashin pe ajib gul sa khila diya | Shaahi Shayari
shab-e-mahtab ne shah-nashin pe ajib gul sa khila diya

Ghazal

Shab-e-mahtab ne shah-nashin pe ajib gul sa khila diya

Muneer Niyazi

;

shab-e-mahtab ne shah-nashin pe ajib gul sa khila diya
mujhe yun laga kisi hath ne mere dil pe tir chala diya

koi aisi baat zarur thi shab-e-wada wo jo na aa saka
koi apna wahm tha darmiyan ya ghaTa ne us ko Dara diya

yahi aan thi meri zindagi lagi aag dil mein to uf na ki
jo jahan mein koi na kar saka wo kamal kar ke dekha diya

ye jo lal rang patang ka sar-e-asman hai uDa hua
ye charagh dast-e-hina ka hai jo hawa mein us ne jala diya

mere pas aisa tilism hai jo kai zamanon ka ism hai
use jab bhi socha bula liya use jo bhi chaha bana diya