اردو हिंदी
Shab-e-firaq ko jab muzhda-e-sahar aaya | Shaahi Shayari
shab-e-firaq ko jab muzhda-e-sahar aaya

Ghazal

Shab-e-firaq ko jab muzhda-e-sahar aaya

Ahmad Nadeem Qasmi

;

shab-e-firaq ko jab muzhda-e-sahar aaya
to ek zamana tera muntazir nazar aaya

tamam-umr ki sahra-nawardiyon ke baad
tera maqam sar-e-gard-e-rahguzar aaya

ye kaun aabla-pa is taraf se guzra hai
nuqush-e-pa mein jo phulon ke rang bhar aaya

kise majal ki nazzara-e-jamal kare
is anjuman mein jo aaya ba-chashm-e-tar aaya

teri talab ke ghane jangalon mein aag lagi
mere KHayal mein jab wahm-e-rahguzar aaya

simaT gaya meri bahon mein jab wo paikar-e-rang
to is ka rang mujhe dur tak nazar aaya

is aarizon mein ki zid kibriya ki puri ho
'nadim' KHak pe aflak se utar aaya