shab-e-firaq hai aur nind aai jati hai
kuchh is mein un ki tawajjoh bhi pai jati hai
ye umr-e-ishq yunhi kya ganwai jati hai
hayat zinda haqiqat banai jati hai
bana bana ke jo duniya miTai jati hai
zarur koi kami hai ki pai jati hai
hamin pe ishq ki tohmat lagai jati hai
magar ye sharm jo chehre pe chhai jati hai
KHuda kare ki haqiqat mein zindagi ban jae
wo zindagi jo zaban tak hi pai jati hai
gunahgar ke dil se na bach ke chal zahid
yahin kahin teri jannat bhi pai jati hai
na soz-e-ishq na barq-e-jamal par ilzam
dilon mein aag KHushi se lagai jati hai
kuchh aise bhi to hain rindan-e-pak-baz 'jigar'
ki jin ko be-mai-o-saghar pilai jati hai
Ghazal
Shab-e-firaq hai aur nind aai jati hai
Jigar Moradabadi