shayad mere badan ki ruswai chahta hai
darwaza mere ghar ka binai chahta hai
auqat-e-zabt us ko ai chashm-e-tar bata de
ye dil samundaron ki gahrai chahta hai
shahron mein wo ghuTan hai is daur mein ki insan
gumnam jangalon ki purwai chahta hai
kuchh zalzale samo kar zanjir ki khanak mein
ek raqs-e-walehana saudai chahta hai
kuchh is liye bhi apne charche hain shahr bhar mein
ek parsa hamari ruswai chahta hai
har shaKHs ki jabin par karte hain raqs tare
har shaKHs zindagi ki ranai chahta hai
ab chhoD sath mera ai yaad-e-nau-jawani
is umr ka musafir tanhai chahta hai
main jab 'qatil' apna sab kuchh luTa chuka hun
ab mera pyar mujh se danai chahta hai
Ghazal
Shayad mere badan ki ruswai chahta hai
Qateel Shifai