اردو हिंदी
Sham-e-gham yaad nahin subh-e-tarab yaad nahin | Shaahi Shayari
sham-e-gham yaad nahin subh-e-tarab yaad nahin

Ghazal

Sham-e-gham yaad nahin subh-e-tarab yaad nahin

Zuhair Kanjahi

;

sham-e-gham yaad nahin subh-e-tarab yaad nahin
zindagi guzri hai kis tarah ye ab yaad nahin

yaad hai utna ki main Dub gaya pasti mein
kitni unchi hui diwar-e-adab yaad nahin

main ne taKHliq kiye sher-o-suKHan ke moti
meri taKHliq ka tha kaun sabab yaad nahin

jin ke jalwon se tha aabaad jahan-e-dil-o-jaan
meri nazron se nihan ho gae kab yaad nahin

aankh mein ashk hain ashkon mein ghamon ki talKHi
kaise hote hain wo naghmat-e-tarab yaad nahin

itna hi yaad hai muddat se KHafa hain wo 'zuhair'
un ki KHafagi ka magar koi sabab yaad nahin